Friday 30 March 2018

shayari on struggle..

Khud raat raat bhar jaag kar apni neend ko 

jo sulaate hai, 

Apne khwahison ko khud ke saamne deeye ki tarah

jo jalaate hai, 

Raat-wa-din ka farq apne junoon me

 jo bhulaate hai.

Aati hai jab mushkile to saamna karne se na 

jo ghabaraate hai,

Sath na ho koi fir bhi kadamo ko apni aaghe 

jo badhaate hai, 

Bhattak kar hi sahi wahi to apni manzil tak pahuch paate hai... 


Monday 26 March 2018

Rooh me imaan na mila........

Jiss insaan ki Rooh me imaan na mila, 

Jiss insaan ki baaton se ehtaraam na mila, 

Uss insaan ko qabr me aaram kya milega, 

Jiss insaan ko insaan me insaan na mila..

Saturday 24 March 2018

Hogya hun bekhauf......

Hogya hun bekhauf hai sath mere  jab se taqat-e-kalam,, 

Darta bhi to kyu hai sath mere duae meri Maa ki hardam,, 

Ab to Iraadein bhi hai majbut itne mere,  

Aankhe Band karke bhi chalu to na dag-magayenge kadam....

Saturday 17 March 2018

Kaafiiron ki sohbat..

Duniyavi zarooraton ki chah me bhul gye, khatre mein hai imaan,,

Kaafiiron ki sohbat mein hai rehne  lage jab se ahl-e-muslmaan.. 

Dunyavi elm-o-daulat se kamaya hai ijjat-o-pehchan.

Magroori me jiski bhul gye hai sunnat-e-huzoor,, 

Hai qaem jinse Chand taare zamin-o-aasman... 





Dua hai Salamt rahe sabir imaan,,
Hai Jab talak zism mein teri jaan... 

Thursday 15 March 2018

Meri Maa....

Upvan ki khusbu fazaa me phail jaati hai,
   Jis ghari hawa aati hai...

Zindagi me meri khushiyon ki bahaar aa jaati hai,
   Jis ghari meri "Maa" muskurati hai...

Raat se jayada subh meri hasin ho jaati hai,
   Jis din meri "Maa" mujhe jagaati hai...

Dil bechain aur aankhein meri aasuon se bhar aati hai,
   Jis ghari meri "Maa" aakhon se ojhal ho jaati hai...

Meri khwahison me khushiyon ki rangein Bhar aati hai,
   Jis ghari meri "Maa" duaa me hath uthati hai...

तू कभी मेरी हो न पाई....

सुन अब तो तू हज़ार वादें कर ले  और दे-दे चाहे मुझे लाखो सफाई मगर इतना तो बता ये कैसे भूलूँगा मैं   के फितरत में तेरी शामिल है बेवफाई   मान लि...